Apne sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ke naam kar rahe hain,
اپنے سب یار کام کر رہے ہیں
اور ہم ہیں کے نام کر رہے ہیں
Tegh-baazi ka shauq apni jagah,
Aap tu qatl-e-aam kar rahe hain,
تیغ بازی کا شوق اپنی جگہ
آپ تو قتل عام کر رہے ہیں
Ek qataala chahiye hum ko,
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain,
ایک قتالہ چاہیئے ہم کو
ہم یہ اعلان عام کر رہے ہیں
Hum to Aaye thay Arz-e-matlab Ko,
Aur Woh Ehtiram kar rahe hain,
ہم تو آئے تھے عرض مطلب کو
اور وہ احترام کر رہے ہیں
Us ke honton pe rakh ke hont apne,
Baat hi hum tamaam kar rahe hain,
اُس کے ہونٹوں پہ رکھ کے ہونٹ اپنے
بات ہی ہم تمام کر رہے ہیں
0 Comments
Please don't enter any spam link in the comment box.